Tuesday, October 29, 2013

Falsafi or Khuda !!

Stephen Hawking says afterlife is a fairy story - Yahoo! News


فلسفی کو بحث کے اندر خدا ملتا نہیں
ڈور کو سلجھا رہا ہے، اور سرا ملتا نہیں


Falsafi ko behes kay ander Khuda milta nahee !!!
dor ko suljha raha hai or sira milta nahee !!!

Jurm kay Tasawwur may !!!

Fariha Nigarina
tum ney mujh ko likha hai
Mere khat jala dijiye
Mujh ko fikr rehti hai
aap inhain ganwa dijiye
Aap ka koi saathi dekh ley to kiya hoga?
dekhiye mein kehti hun Yeh bohat bura hoga


Mein bhi kuch kahun tum se
Fariha Nigarina
Ay Ba'nazuki meena
itr baiz nasneena
rashk'e sarw o seema


 Mein tumharay har khat ko LOH-E-DIL samajhta hun
 LOH-E-DIL Jala dun kia?
 

Jo bhi satr hai in ki
KehkashaN hai rishtoN ki
Kehkasha'n luta dun kia?


jo bhi harf hai inka
naqsh-e-jaa'n hai jaanana
naqsh-e-jaa'n mita dun kia??

 
Hai sawaad-e-beenai inka jo bhi nukta hai
Mein usay ganwa dun kia?

LOH-E-DIL jala dun kia?
kahkasha'n luta dun kia?
Naqsh'e jaa'n mita dun kia??

Mujh ko likh k khat janum
apnay dehaan mein shayd
khuwaab khuwaab jazbon k
khuwaab khuwaab lamhon mein
younhi bey khayalana jurm kar gai ho tum
aur khayal aany par US Se dar gai ho tum


 JURM k tassawur mein gar yeh KHAT likhay TUM NEY
phir to meri raaiy mein JURM HI KIYE tum ney


 jurm! kiun kiye jayein?
jurm! kiun kiye jayein?


 khat hi kiun likhey jayein...!